asar  kar  ke  āh-e-rasā  phir  ga.ī
huā  saaf  matl.a  havā  phir  ga.ī
savārī  tirī  aa  ke  kyā  phir  ga.ī
idhar  ko  udhar  kī  havā  phir  ga.ī
mire  sar  se  teġh-e-jafā  phir  ga.ī
ka.ī  baar  aa.ī  qazā  phir  ga.ī
gayā  dev-e-ġham  jalva-e-yār  se
parī-zād  aayā  balā  phir  ga.ī
ye  jāñ-baḳhsh  us  jāñ-satāñ  kī  hai  chaal
vo  aayā  jo  phir  kar  qazā  phir  ga.ī
ghaḌī  do  ghaḌī  kā  hai  terā  marīz
tabīb  uTh  ga.e  har  davā  phir  ga.ī
tū  aatā  nahīñ  is  galī  meñ  'munīr'
tabī.at  tirī  ham  se  kyā  phir  ga.ī