be-vaqt  jo  ghar  se  vo  masīhā  nikal  aayā
ghabrā  ke  mire  muñh  se  kaleja  nikal  aayā
madfūn  huā  zer-e-zamīñ  kyā  koī  vahshī
kyuuñ  ḳhaak  se  ghabrā  ke  bagūlā  nikal  aayā
ā.īne  meñ  muñh  dekh  ke  maġhrūr  hue  aap
do  shakloñ  se  kaisā  ye  natīja  nikal  aayā
zaḳhmī  jo  kiyā  tum  ne  khule  ishq  ke  asrār
jo  kuchh  ki  mire  dil  meñ  nihāñ  thā  nikal  aayā
Thukrāne  lage  dil  ko  to  barpā  hue  tūfāñ
qatra  jo  haTāne  lage  dariyā  nikal  aayā
ab  ruk  nahīñ  saktī  hai  'munīr'  āh-e-jigar-soz
dam  ghuTne  lagā  muñh  se  kaleja  nikal  aayā