haath  malvātī  haiñ  hūroñ  ko  tumhārī  chūḌiyāñ
pyārī  pyārī  hai  kalā.ī  pyārī  pyārī  chūḌiyāñ
band  kar  detī  haiñ  sab  ko  pyārī  pyārī  chūḌiyāñ
boltī  haiñ  laakh  meñ  baḌh  kar  tumhārī  chūḌiyāñ
ai  buto  sarkash  agar  ho  ātish-e-rañg-e-hinā
sho.ala-e-javvāla  ban  jaa.eñ  tumhārī  chūḌiyāñ
barhamī  halqa-bagoshoñ  kī  unheñ  manzūr  hai
phuuT  Dalvātī  haiñ  lākhoñ  meñ  tumhārī  chūḌiyāñ
hūroñ  kī  āñkhoñ  ke  halqe  ai  parī  maujūd  haiñ
in  butānoñ  se  chaḌhāo  pyārī  pyārī  chūḌiyāñ
dil  meñ  chhed  kar  ḳhuun  kī  būñdoñ  se  har  reza  bhare
TuuT  kar  ban  jaa.eñ  būñde  kī  kaTārī  chūḌiyāñ
sarv-qāmat  haiñ  hazāroñ  dām-e-ulfat  meñ  asiir
tauq-e-qumrī  haiñ  tumhārī  pyārī  pyārī  chūḌiyāñ
sadqe  hotī  haiñ  barābar  un  kalā.ī  pahuñchoñ  par
gird  phirtī  haiñ  ḳhushī  se  baarī  baarī  chūḌiyāñ
dast-e-nāzuk  ne  zamāne  ko  kiyā  halqa-ba-gosh
kyā  khule  bandoñ  nazar  aa.iiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
ai  falak  un  ko  nahīñ  bhātā  sitāroñ  kā  bhī  joḌ
kahte  haiñ  merī  balā  pahne  kuñvārī  chūḌiyāñ
rū-e-raushan  par  jo  tum  ne  haath  rakhā  naaz  se
chāñd  kā  haala  nazar  aa.iiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
hūreñ  bhejeñgī  tujhe  ai  rashk-e-gul  firdaus  se
lā.egī  mashshāta-e-fasl-e-bahārī  chūḌiyāñ
kyuuñ  na  nikle  nok  ḳhūñ-rezī  ke  har  andāz  meñ
lauT  kar  bhī  dil  meñ  chubhtī  haiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
bal  nikālā  saikḌoñ  bāñkoñ  kā  dast-e-nāz  se
baañk  ke  fan  meñ  huiiñ  yaktā  tumhārī  chūḌiyāñ
ḳhuun  kī  būñdeñ  banī  haiñ  chunniyāñ  yāqūt  kī
dil  meñ  chubh  kar  de  rahī  haiñ  zaḳhm-e-kārī  chūḌiyāñ
kyuuñ  na  hoñ  halqa-ba-gosh  aa  kar  hasīnān-e-bahisht
hūroñ  ke  kānoñ  kī  baalī  haiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
maiñ  ne  hāthā-pā.ī  jab  kī  sard-mohre  se  kahā
garm-joshī  se  huiiñ  ThanDī  hamārī  chūḌiyāñ
dekh  lo  ai  gul-ruḳho  murġhān-e-dil  pāband  haiñ
baal  ke  phañde  kī  sūrat  haiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
karte  haiñ  apne  zabānoñ  meñ  tire  hāthoñ  kā  vasf
boltī  haiñ  ek  muñh  ho  kar  sitārī  chūḌiyāñ
har  sitāre  kī  chamak  nūr-e-jahān-e-husn  hai
rakhtī  haiñ  hukm-e-jahāñgīrī  tumhārī  chūḌiyāñ
jaan  paḌ  jaatī  hai  dast-e-nāz  se  har  chiiz  meñ
rañg  ban  kar  chaḌhtī  haiñ  hāthoñ  meñ  saarī  chūḌiyāñ
go  guhar  ho  ai  parī  nāz-e-nigāh-e-hūr  kā
ainak-e-rizvāñ  kī  halqa  haiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
kar  ke  hāthā-pā.ī  Dolī  meñ  kiyā  un  ko  savār
saaf  ThanDī  ho  ga.iiñ  vaqt-e-savārī  chūḌiyāñ
būñdoñ  ke  halqe  nahīñ  paḌte  haiñ  ai  gul  nahr  meñ
Dāltā  hai  hindu-e-abr-e-bahārī  chūḌiyāñ
ḳhuun  lākhoñ  kā  kiyā  karte  haiñ  har  jhankār  se
ḳhuub  sachchā  joḌ  chaltī  haiñ  tumhārī  chūḌiyāñ
ġhair  DevḌhī  par  kiyā  karte  haiñ  ārā.ish  kā  zikr
halqa-e-bairūn-e-dar  Thahrī  tumhārī  chūḌiyāñ
naaz  se  farmāte  haiñ  luuñ  kis  tarah  terā  salām
haath  uTh  sakte  nahīñ  aisī  haiñ  bhārī  chūḌiyāñ
utrī  paḌtī  haiñ  phisal  kar  dast-e-nāzuk  se  mudām
kis  tarah  Thahreñ  kalā.ī  meñ  tumhārī  chūḌiyāñ
maar  Daalā  ātish-e-ġham  ne  jalā  kar  ai  'munīr'
ThanDī  kar  diiñ  sog  meñ  us  gul  ne  saarī  chūḌiyāñ