roz  dilhā-e-mai-kashāñ  TuuTe
ai  ḳhudā  jām-e-āsmāñ  TuuTe
dushmanī  is  zamīn  kī  dekho
gumbad-e-qabr-e-dostāñ  TuuTe
vasf-e-abrū-e-pur-shikan  jo  na  ho
kyā  ajab  ḳhanjar-e-zabāñ  TuuTe
rañg  laa.e  agar  shikasta-dilī
bulbulo  shāḳh-e-āshiyāñ  TuuTe
nik.hat-e-gul  se  bas  gayā  gulshan
ġhuncha  kyā  chaTke  itr-dāñ  TuuTe
ḳhuub  phailī  hai  bū-e-bāda-e-ishq
shīsha-e-dil  kahāñ  kahāñ  TuuTe
le  uḌegī  havā-e-bām  hameñ
na  kareñge  jo  nardbāñ  TuuTe
qasd-e-parvāz  kā  jo  bojh  paḌā
bāzū-e-murġh-e-nā-tavāñ  TuuTe
lucknow  chal  ke  jī  lagā.ūñ  'munīr'
kis  liye  dil  mirā  yahāñ  TuuTe