jab  ham-baġhal  vo  sarv  qabā  posh  ho  gayā
qumrī  kā  tauq  halqa-e-āġhosh  ho  gayā
ash.ār  mere  sun  ke  vo  ḳhāmosh  ho  gayā
ġhuncha  ba-rañg-e-gul  hama-tan-gosh  ho  gayā
pī  ġhair  ne  sharāb  mujhe  be-ḳhudī  huī
nashsha  chaḌhā  kisī  ko  maiñ  behosh  ho  gayā
is  darja  be-ḳhudī  ne  dikhā.īñ  ta.alliyāñ
gardūñ  ġhubār-e-qāfila-e-hosh  ho  gayā
teġh-e-ajal  kī  kaaT  se  Dartā  nahīñ  huuñ  maiñ
zaḳhmoñ  se  jism-e-zār  zira-posh  ho  gayā
ai  but  ḳhayāl-e-vasf-e-dahan  meñ  na  paa.ī  raah
bhaTkā  phirā  suḳhan  jo  maiñ  ḳhāmosh  ho  gayā
ḳhūñ-ḳhvāroñ  ke  huzūr  na  aayā  hamārī  tarah
ā.īna  jauharoñ  se  zira-posh  ho  gayā
tāle.a  jagā.e  aap  ne  arbāb-e-ishq  ke
yūsuf  kā  husn  ḳhvāb-e-farāmosh  ho  gayā
pinhāñ  hai  zer-e-sabza-e-ḳhat  ātish-e-ezār
sho.ala  fusūn-e-husn  se  ḳhas-posh  ho  gayā
hūreñ  gale  lipaTtī  haiñ  aa  aa  ke  raat  din
jannat  kī  raah  kūcha-e-āġhosh  ho  gayā
us  mast-e-husn  kī  nigah-e-garm  ke  huzūr
ā.īna-e-jām  bāda-e-sar-josh  ho  gayā
be-lutfiyoñ  se  tum  jo  mile  maiñ  ne  jaan  dī
phāñsī  gale  meñ  halqa-e-āġhosh  ho  gayā
abr-e-siyah  ke  saaye  ne  surma  khilā  diyā
sabza  tamām  tūtī-e-ḳhāmosh  ho  gayā
kāñdhoñ  se  mere  kātib-e-āmāl  gir  paḌe
taḌpā  maiñ  is  qadar  ki  subuk-dosh  ho  gayā
kānoñ  kā  husn  jalva-e-āriz  se  paḌ  gayā
ruḳh  āftāb-e-sub.h  bunā-gosh  ho  gayā
uḌtā  huuñ  ishq  meñ  lab  lālīñ  ke  ai  'munīr'
goyā  sharār  ātish-e-ḳhāmosh  ho  gayā