umr  baaqī  rāh-e-jānāñ  meñ  basar  hone  ko  hai
aaj  apnī  saḳht-jānī  sañg-e-dar  hone  ko  hai
ālam-e-pīrī  meñ  hai  dāġh-e-javānī  kā  faroġh
ye  charāġh-e-shām  ḳhurshīd-e-sahar  hone  ko  hai
āmad-e-pīrī  meñ  ġhaflat  hai  javānī  kī  vahī
niiñd  se  āñkheñ  nahīñ  khultīñ  sahar  hone  ko  hai
ham  ko  rusvā  kar  ke  rusvā.ī  se  bachnā  hai  muhāl
tū  bhī  tash.hīr  ai  nigāh-e-fitna-gar  hone  ko  hai
dāġh-e-isyāñ  ik  taraf  ashk-e-nadāmat  ik  taraf
nuuh  ke  tūfān  se  jañg-e-sharar  hone  ko  hai
kaun  sī  dhun  ho  ga.ī  dekheñ  dil-e-sad-pāsh  ko
ye  shikasta  saaz  kis  naġhme  kā  ghar  hone  ko  hai
ḳhalvat  o  kasrat  meñ  mujh  se  pūchhtī  hai  bekasī
us  taraf  ho  jā.ūñ  maiñ  bhī  tū  jidhar  hone  ko  hai
yūsuf-e-mazmūñ  ko  laa.e  fikr-e-kuhna  ai  'munīr'
ye  zuleḳhā  naujavāñ  bār-e-digar  hone  ko  hai