abrū  kī  terī  zarb-e-do-dastī  chalī  ga.ī
jitnī  kasā.ī  saif  ye  kastī  chalī  ga.ī
pesh-e-nazar  hasīnoñ  kī  bastī  chalī  ga.ī
ā.īne  kī  bhī  husn-parastī  chalī  ga.ī
achchhā  kiyā  sharāb  ḳhudā  ne  harām  kī
rindoñ  ke  saath  bāda-parastī  chalī  ga.ī
kis  shahr  se  misāl  duuñ  aqlīm-e-ishq  ko
jitnī  ye  ujḌī  aur  bhī  bastī  chalī  ga.ī
roze  mah-e-siyām  meñ  toḌe  sharāb  se
ham  fāqa-mastoñ  kī  vahī  mastī  chalī  ga.ī
vahshat-kade  se  rahmat-e-haq  ne  bhī  kī  gurez
badle  hamāre  ghar  se  barastī  chalī  ga.ī
khā.īñ  ḳhudā  kī  raah  meñ  lākhoñ  hī  Thokareñ
tā-lā-makāñ  bulandī-o-pastī  chalī  ga.ī
mastoñ  ne  tark-e-mai  kī  qasam  khaa.ī  hai  to  kyā
tauba  kahāñ  vo  baat  jo  mastī  chalī  ga.ī
in  abruoñ  ne  ek  ishāre  meñ  jaan  lī
yak-dast  terī  teġh-e-do-dastī  chalī  ga.ī
dil  hī  gayā  to  kaun  butoñ  kā  kare  ḳhayāl
ka.abe  ke  saath  sañg  parastī  chalī  ga.ī
hai  āsmān  tak  tire  giryāñ  kā  maz.haka
bijlī  bhī  rote  dekh  ke  hañstī  chalī  ga.ī
go  dil  ke  badle  daulat-e-duniya-o-dīñ  milī
to  bhī  ye  jins  haath  se  sastī  chalī  ga.ī
dāġh-e-sharāb  dāman-e-taqvā  meñ  rah  gayā
nashshe  ko  rūh-e-shaiḳh  tarastī  chalī  ga.ī
tahtus-sarā  ko  pahuñchī  hamārī  farotanī
ham  jitne  past  ho  ga.e  pastī  chalī  ga.ī
kyuuñ  kar  ho  ijtimā-e-naqīzain  ai  'munīr'
aate  hī  maut  ke  mirī  hastī  chalī  ga.ī