ai  but  jo  shab-e-hijr  meñ  dil  thaam  na  lete
kalma  meñ  bhī  hotā  to  tirā  naam  na  lete
zid  par  agar  aa  jaa.eñ  ham  ai  rashk-e-masīhā
mar  jaate  magar  muñh  se  tirā  naam  na  lete
kāmil  koī  miltā  jo  ḳharīdār-e-dil-o-jāñ
ye  jins  yūñhī  bechte  ham  daam  na  lete
kyuuñ  hashr  meñ  dīvāna  hameñ  kah  ke  pukārā
nafrat  thī  to  ab  bhī  vo  mirā  naam  na  lete
vahshat-kada-e-dahr  meñ  chaltā  jo  bas  apnā
dushman  se  mohabbat  ke  sivā  kaam  na  lete
jārob-kashī  miltī  agar  karb-o-balā  kī
hāthoñ  se  'munīr'  aur  koī  kaam  na  lete