Muneer Shikohabadi

zaKHmi na bhul jaen maze dil ki Tis ke

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880

zaḳhmī na bhuul jaa.eñ maze dil Tiis ke

lillāh chhiḌke jaao namak piis piis ke

ġhussa hai zahr haq meñ dil-e-be-anīs ke

almās pīste ho abas daañt piis ke

mailī nigāh hotī hai ā.īna dekh kar

nazzāre muddatoñ se haiñ rū-e-nafīs ke

ḳhalvat meñ tasavvur-e-jānāñ nadīm hai

tālib jalīs ke haiñ na ḳhvāhāñ aniis ke

ma.anī na paa.e jauhar-e-shamshīr-e-yār ke

TukḌe jigar ke ho ga.e TukḌe kasīs ke

phīkā zā.iqa dahan-e-zaḳhm rahā

kyā bad-maza huā maiñ namak piis piis ke

pīr-e-falak kisī ko na degā zar-e-nujūm

ya.anī diram haiñ ye kaf-e-dast-e-ḳhasīs ke

kaT kaT gayā maiñ dekh ke mazmūn-e-qatl ko

ai but qalam hoñ haath tire ḳhush-naves ke

das biis har mahīne meñ abrū nazar paḌe

is saal saare chāñd hue tiis tiis ke

harf aa gayā shikastagī-e-dil ke likhne meñ

TuuTe qalam hazāroñ shikasta-naves ke

likhte haiñ chhup ke kātib-e-āmāl sab haal

a.amāl-nāma parcha haiñ ḳhufya-naves ke

maktūb meñ ibārat-e-rañgīñ likho 'munīr'

fiqre nahīñ pasand daqīq-o-salīs ke

Top Urdushayar.com