aamad  tasavvur-e-but-e-bedād-gar  kī  hai
dil  kī  bhī  luuT  ḳhāna-ḳharābī  jigar  kī  hai
taqdīr  kī  kajī  ho  ki  TeḌhā  ho  āsmāñ
ye  sab  ināyat  aap  kī  tirchhī  nazar  kī  hai
ik  baar  tiir  maar  ke  ab  tak  ḳhabar  na  lī
yārab  nigāh-e-mast  ye  kis  be-ḳhabar  kī  hai
ye  rañg-o-bū  kahāñ  gul-e-tar  ko  nasīb  thā
utrī  huī  qabā  kisī  rashk-e-qamar  kī  hai
phir  bhī  kabhī  nigāh-e-karam  hogī  is  taraf
ummīd  aaj  tak  usī  pahlī  nazar  kī  hai