hotī  hai  haar  jiit  pinhāñ  baat  baat  meñ
chaupaḌ  bichhī  hai  anjuman-e-kā.enāt  meñ
rakh  fikr-e-jism  āryatī  kā.enāt  meñ
chorī  na  jaa.eñ  maañg  ke  kapḌe  barāt  meñ
pyāse  mirī  lahū  ke  haiñ  sab  kā.enāt  meñ
kashti-e-umr  chaltī  hai  āb-e-furāt  meñ
be-aql  ho  ke  aa  ga.e  hastī  kī  ghaat  meñ
dīvāne  ban  ke  phañs  ga.e  qaid-e-hayāt  meñ
saaqī  se  kah  do  sabza-e-tar  meñ  bahā  sharāb
Tāñke  kadū  kī  bel  qabā-e-nabāt  meñ
kī  talḳh  guftugū  lab-e-jāñ-baḳhsh  se  mudām
afyūn  gholī  aap  ne  āb-e-hayāt  meñ
qaa.em  mizājiyoñ  meñ  bhī  ġhaflat  muhīt  hai
hai  ḳhvāb-e-marg  maḳhmal-e-rañg-e-sabāt  meñ
hoñToñ  kā  ishq  thā  ye  rahe  aabrū  kī  baat
murde  ko  ġhusl  dījiye  āb-e-hayāt  meñ
pahuñchā  jo  tere  kūche  meñ  ḳhud-rafta  ho  gayā
jaatā  rahā  maiñ  aap  se  rāh-e-najāt  meñ
malte  haiñ  ḳhūb-rū  tire  ḳheme  se  chhātiyāñ
añgiyā  kī  Doriyāñ  haiñ  muqarrar  qanāt  meñ
hastī  meñ  tark  kījiye  zulfoñ  ke  ishq  ko
zanjīreñ  dohrī  toḌiye  qaid-e-hayāt  meñ
mūsā-o-ḳhizr  ne  tire  baTne  ke  vāste
gholā  hai  barq-e-tūr  ko  āb-e-hayāt  meñ
ġhārat  kiyā  aḳhīr  javānī  meñ  dahr  ko
duniyā  tamām  luuT  lī  thoḌī  sī  raat  meñ
juz  dāġh-e-zindagī  meñ  nahīñ  aur  kuchh  surūr
afyūn  kab  hai  lāla-e-rañg-e-sabāt  meñ
muddat  se  Dher  jāda-e-bāk-e-najaf  meñ  hai
takiya  hai  is  faqīr  kā  rāh-e-najāt  meñ
shādī  huī  jo  raat  ko  khele  vo  ganjifa
raushan  kiyā  ġhulām  ne  ikkā  barāt  meñ
kūche  meñ  rakh  ke  āshiq-e-muztar  kī  haDDiyāñ
machhlī  ke  kāñTe  bo  diye  rāh-e-najāt  meñ
dil  kī  safā  ho  jāma-e-hastī  meñ  jalva-gar
jeb-e-sahar  ugā.ūñ  qabā-e-hayāt  meñ
sāvan  ke  badle  gā.iye  'hāfiz'  ke  sher-e-tar
jhūlā  zarūr  Dāliye  shāḳh-e-nabāt  meñ
hastī  kī  qaid  se  dil-e-betāb  chhup  gayā
machhlī  na  Thahrī  bāzū-e-sham-e-hayāt  meñ
murde  jilā.e  saikḌoñ  Thukrā  kar  ai  sanam
dast-e-masīh  kā  hai  asar  terī  laat  meñ
shīrīñ-adā.iyāñ  bhī  hoñ  raftār-e-nāz  bhī
kāfūr-e-sub.h-e-hashr  ho  qand-o-nabāt  meñ
hoñToñ  kī  mastī  duur  kī  tū  ne  khaTā.ī  se
lemuu.  kī  chāshnī  hai  tirī  mīThī  baat  meñ
andhā  banā.eñge  vo  rulā  kar  itaab  se
rahte  haiñ  roz  aañkh  churāne  kī  ghaat  meñ
maut  aa.e  mujh  ko  hijr  meñ  ahmad  kī  ai  'munīr'
vallāh  kuchh  mazā  nahīñ  aisī  hayāt  meñ