ḳhūbān-e-fusūñ-gar  se  ham  uljhā  nahīñ  karte
jādū-garoñ  kī  zulf  meñ  laTkā  nahīñ  karte
Darte  haiñ  ki  nāloñ  se  qayāmat  na  machā  duuñ
is  ḳhauf  se  vo  vāda-e-fardā  nahīñ  karte
barbād  haiñ  lekin  nahīñ  yāroñ  se  mukaddar
go  ḳhaak  haiñ  par  dil  kabhī  mailā  nahīñ  karte
iqrār-e-shifā  karte  haiñ  par  rakhte  haiñ  bīmār
achchhā  jo  vo  kahte  haiñ  kuchh  achchhā  nahīñ  karte
sūraj  haiñ  kabhī  chāñd  kabhī  sham.a  kabhī  phuul
kis  roz  na.e  ruup  vo  badlā  nahīñ  karte
dil  se  huuñ  'munīr'  apne  maiñ  ustād  kā  āshiq
tauqīr  o  ri.āyat  mirī  kyā  kyā  nahīñ  karte