har  kisī  kī  hai  zabānī  dostī
kyā  kisī  kī  āzmānī  dostī
the  musāfir  do  alag  rastoñ  ke  ham
ho  ga.ī  bas  nā-gahānī  dostī
DhūñDhtā  hai  har  rifāqat  meñ  na.ī
dil  hamesha  ik  purānī  dostī
dafn  hai  siine  meñ  mere  aaj  bhī
us  kī  merī  āñ-jahānī  dostī
dostoñ  ko  dil  dukhānā  aa  gayā
aa  ga.ī  ham  ko  nibhānī  dostī
kuchh  to  terī  bhī  ḳhatā  hogī  'faroġh'
gar  huī  hai  sargirānī  dostī