Muneer Shikohabadi

sabit raha falak mere nalon ke samne

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
sābit rahā falak mire nāloñ ke sāmne
Thahrī sipar habāb ke bhāloñ ke sāmne
muusā haiñ ġhash meñ gesuoñ vāloñ ke sāmne
gul hai charāġh-e-tūr bhī kāloñ ke sāmne
phūloñ kā rañg zard hai gāloñ ke sāmne
sumbul meñ bal nahīñ tire bāloñ ke sāmne
rakhvā.e jhaaḌ us ne nihāloñ ke sāmne
qalameñ lagīñ bilor kī Dāloñ ke sāmne
jaatā huuñ jab ḳhizāñ meñ nihāloñ ke sāmne
āñkhoñ se nahreñ bahtī haiñ thāloñ ke sāmne
phūle shafaq to zard ho gāloñ ke sāmne
paanī bhare ghaTā tire bāloñ ke sāmne
taare hue ġhurūb ḳhat-o-ḳhāl dekh kar
goroñ ke paañv uTh ga.e gāloñ ke sāmne
āñkhoñ meñ phirte haiñ nahīñ aate haiñ rū-ba-rū
parde paḌe haiñ dekhne vāloñ ke sāmne
dekhā hai āshiqoñ ne barahman kī aañkh se
har but ḳhudā hai chāhne vāloñ ke sāmne
chhuT jā.eñge asiir chhupā zulf-e-ḳham najam
kaTtī haiñ beḌiyāñ tire bāloñ ke sāmne
betāb dast-e-shauq haiñ joban ke rū-ba-rū
bose meñ jaañ ba-lab tire gāloñ ke sāmne
ifrāt-e-mai se mujh ko ye josh-e-surūr hai
bajvā.ūñ jal-tarañg meñ pyāloñ ke sāmne
jild-e-badan hai taḳhta-e-mashq-e-sipāh-e-ġham
rahtī hai ye kitāb risāloñ ke sāmne
āñkheñ tumhārī dekh ke kuchh sūjhtā nahīñ
bhūlā huuñ chaukḌī maiñ ġhazāloñ ke sāmne
darvāzoñ par butoñ ke lagāyā kiye alaav
holī jalā.ī ham ne shivāloñ ke sāmne
zulfoñ meñ dekhtā huuñ tirā chehra-e-sabīh
labrez jām-e-shīr hai kāloñ ke sāmne
tere gadā se band hai aalam kā nātiqa
aate nahīñ javāb savāloñ ke sāmne
khīñche butoñ ne apnī taraf zāhidoñ ke dil
qibla-numā phire haiñ shivāloñ ke sāmne
chorī se bosa-e-kaf-e-pā leñ jo ai parī
hoñT apne chuum luuñ tire gāloñ ke sāmne
pahuñchā falak ko faqr kā rutba huzūr-e-aish
kambal chaḌhe haiñ charḳh-e-do-shāloñ ke sāmne
ahl-e-kitāb haiñ saf-e-mizhgāñ ke rū-ba-rū
kāġhaz ke daste aa.e risāloñ ke sāmne
faiyyaz sā.iloñ se nahīñ karte sar-kashī
shīshoñ ke sar jhuke haiñ pyāloñ ke sāmne
dast-e-jafā uThā.eñge kyā jism-e-zār par
kāñTā hoñ teġh-e-nāz ke chhāloñ ke sāmne
shīshe ko husn-e-garm ne paara banā diyā
ā.īne uḌ ga.e tire gāloñ ke sāmne
teġh-e-nigah ko motiyoñ kī Daab chāhiye
ā.īna rakh ke dekhiye chhāloñ ke sāmne
jalte rahe butoñ kī huzūrī meñ sham.a-rū
pariyāñ satī huī haiñ shivāloñ ke sāmne
ham-chashmoñ par lagā.ī haiñ us but ne goliyāñ
toḌe hue haiñ sher ġhazāloñ ke sāmne
jaada bunat banā mirī vahshat ke faiz se
goTe ke go kohar hue chhāloñ ke sāmne
mere hunar kā koī nahīñ qadr-dāñ 'munīr'
sharminda huuñ maiñ apne kamāloñ ke sāmne
Top Urdushayar.com