raah  kar  ke  us  but-e-gumrāh  ne  dhokā  diyā
gir  paḌe  andhe  kuñ.eñ  meñ  chaah  ne  dhokā  diyā
ho  ga.e  maġhrūr  mujh  ko  āshiq  apnā  jaan  kar
haa.e  is  dil  kā  burā  ho  aah  ne  dhokā  diyā
jaan  kar  us  but  kā  ghar  ka.abe  ko  sajda  kar  liyā
ai  barahman  mujh  ko  baitullāh  ne  dhokā  diyā
maiñ  ne  jaanā  baal  muñh  par  khol  kar  aa.e  huzūr
chhup  kar  abr-e-tar  meñ  qurs-e-māh  ne  dhokā  diyā
sheḳh  sāhab  aap  ko  but-ḳhāne  meñ  laayā  'munīr'
pīr-o-murshid  banda-e-dargāh  ne  dhokā  diyā