jalsoñ  meñ  guzarne  lagī  phir  raat  tumhārī
is  bhiiḌ  meñ  jaatī  na  rahe  baat  tumhārī
hai  jalva-gar-e-dair-o-haram  zaat  tumhārī
Thahrī  hai  do  amla  meñ  mulāqāt  tumhārī
jalva  sifat-e-sham.a  hai  gardan  se  kamar  tak
kis  nuur  ke  sāñche  meñ  Dhalī  gaat  tumhārī
khole  hue  gesū  na  dikhā.e  mujhe  sūrat
mehmān  mire  ghar  na  hue  raat  tumhārī
pacchīsī  bahut  kheltī  ho  ġhair  se  ai  jaañ
kauḌī  kī  na  ho  jaa.e  kahīñ  baat  tumhārī
āñkhoñ  meñ  nahīñ  silsial-e-ashk  shab-o-roz
tasbīh  paḌhā  karte  haiñ  din  raat  tumhārī
kaTvā  ke  mire  dast-e-tamannā  ko  vo  bole
do  haath  ghaTī  aaj  mulāqāt  tumhārī
farmāte  haiñ  hañs  hañs  ke  mujhe  dekh  ke  giryāñ
le  Dūbegī  āḳhir  tumheñ  barsāt  tumhārī
mastī  jo  lagā  kar  mujhe  bātoñ  meñ  uḌaao
uḌ  jaa.e  dhuāñ  ban  ke  ye  zulmāt  tumhārī
pāmāloñ  kī  āñkhoñ  meñ  subuk  mujh  ko  na  karnā
Dartā  huuñ  ki  halkī  na  paḌe  baat  tumhārī
kahte  haiñ  taġhāful  se  mujhe  zahr  khilā  kar
in  rozoñ  bahut  talḳh  hai  auqāt  tumhārī
jo  kuchh  kaho  bar-aks  koī  kah  nahīñ  saktā
kyā  taab  hai  ulTe  jo  koī  baat  tumhārī
kahtā  huuñ  ki  bosa  bhī  milā  jaan  bhī  paa.ī
va.ada  na  karo  ḳhair  ināyāt  tumhārī
āñkhoñ  meñ  bhī  siine  meñ  bhī  dil  meñ  bhī  tumhīñ  ho
kis  parde  meñ  poshīda  nahīñ  zaat  tumhārī
hūroñ  meñ  huā  kartī  haiñ  taqrīr  kī  naqleñ
Dar  hai  na  bigaḌ  jaa.e  kahīñ  baat  tumhārī
pahnā  ke  kafan  ḳhaak  ke  parde  meñ  chhupāyā
duhre  diye  ḳhil.at  ye  ināyāt  tumhārī
hoñToñ  se  jo  phir  jaatī  hai  muñh  kī  taraf  ai  jaan
kyā  nashshe  meñ  bahkī  huī  hai  baat  tumhārī
kī  qat.a  abas  zulf  na  thā  koī  giraftār
tanhā  rahe  be-lutf  kaTī  raat  tumhārī
bad-go  ho  ye  afsāna  rahe  ahl-e-jahāñ  meñ
qissa  ho  bigaḌ  jaa.e  agar  baat  tumhārī
zaḳhm  ek  kaTārī  kā  ināyat  nahīñ  hotā
kauḌī  koī  miltī  nahīñ  ḳhairāt  tumhārī
uljhā  hai  magar  zulf  meñ  taqrīr  kā  lachchhā
suljhī  huī  ham  ne  na  sunī  baat  tumhārī
allāh  re  safā  muñh  nazar  aatā  hai  badan  meñ
ā.īna  hai  ai  jaan  karāmāt  tumhārī
farmā.ishoñ  kā  bojh  raqīboñ  se  na  uTThā
sad  shukr  ki  halkī  na  huī  baat  tumhārī
shīrīñ  se  na  ho  dil  kahīñ  farhād  kā  khaTTā
Dartā  huuñ  ki  shīrīñ  hai  bahut  baat  tumhārī
kyā  sher  mazedār  'munīr'  aaj  paḌhe  haiñ
har  baat  meñ  e.ajāz  hai  kyā  baat  tumhārī