pech  fiqre  par  kiyā  jaatā  nahīñ
koī  dhāgā  do  baTā  jaatā  nahīñ
bosa-e-lab  ġhair  ko  dete  ho  tum
muñh  mirā  mīThā  kiyā  jaatā  nahīñ
zo.af  ne  yak-dast  toḌe  pā-e-zīst
nabz-e-murda  huuñ  hilā  jaatā  nahīñ
zulf  se  sumbul  kare  kyā  ham-sarī
pech  choTī  kā  kiyā  jaatā  nahīñ
teġh-e-husn-e-yār  se  majrūh  hai
tota-e-ḳhat  se  uḌā  jaatā  nahīñ
qabr  kā  tālib  abas  hai  jism-e-zār
chashm-e-dushman  meñ  samā  jaatā  nahīñ
kyā  kashīda  sūrat-e-tasvīr  huuñ
nā-tavānī  se  khiñchā  jaatā  nahīñ
zo.af  se  pahuñcheñge  kyūñ-kar  aap  tak
aap  se  bāhar  huā  jaatā  nahīñ
khiñch  sake  tasvīr  betābī  meñ  kyā
ek  sūrat  par  rahā  jaatā  nahīñ
ruuh  ko  bhī  bosa-e-lab  kī  hai  chaaT
mar  ga.e  lekin  marā  jaatā  nahīñ
murde  se  bad-tar  huuñ  go  jiitā  huuñ  maiñ
rañg-e-hastī  meñ  milā  jaatā  nahīñ
rañg  kyā  qadd-ḳhamīda  kā  khile
chhalle  ke  gul  se  khilā  jaatā  nahīñ
roz  añgiyā  hotī  hai  ārāsta
kab  nayā  bañgla  sajā  jaatā  nahīñ
pech  meñ  aane  ko  tāqat  chāhiye
tere  dam  par  bhī  chaḌhā  jaatā  nahīñ
itr  khiñchtā  hai  hamārī  ḳhaak  kā
haath  malne  kā  mazā  jaatā  nahīñ
chuTkiyāñ  mere  sarāpe  meñ  na  lo
jāma-e-hastī  chunā  jaatā  nahīñ
koī  kyā  ham  ko  bānegā  'munīr'
aise  bigḌe  haiñ  banā  jaatā  nahīñ