dushman  kī  malāmat  balā  hai
ye  mom  kā  saañp  kāTtā  hai
vasvās-e-hisāb-e-hashr  kyā  hai
gumnāmoñ  ko  kaun  pūchhtā  hai
aalam  mushtāq  diid  kā  hai
vo  but  na  dikhā.e  muñh  ḳhudā  hai
vo  sīm-badan  magar  ḳhafā  hai
sonā  jo  harām  ho  gayā  hai
sar-tā-pā  huuñ  ba-rañg-e-tasvīr
kyā  zo.af  kā  rañg  jam  gayā  hai
qashqa  khiñchā  hai  abrūoñ  meñ
do  nīmche  ek  par  tulā  hai
mahfūz  uftādgī  ne  rakkhā
ta.avīz  meñ  naqsh-e-boriyā  hai
gardish  se  milī  mujhe  sa.ādat
har  aabla  baiza-e-humā  hai
jhaḌte  haiñ  phuul  muñh  se  ai  gul
bātoñ  kā  jhaaḌ  motiyā  hai