kuchh  nahīñ  hāsil  sipar  ko  chiir  ko  yā  talvār  toḌ
hai  agar  tāqat  to  mere  āñsuoñ  kā  taar  toḌ
terī  chashm  o  zulf  se  saudā-e-ham-chashmī  kiyā
ai  sanam  bādām-e-chashm-e-āhū-e-tātār  toḌ
zulf  meñ  motī  pironā  mere  haq  meñ  zahr  hai
aaj  ai  mashshāta-e-dandāñ  dahān-e-yār  toḌ
silsila  gabr-o-musalmāñ  kī  adāvat  kā  miTā
ai  parī  be-parda  ho  kar  sub.ha-o-zunnār  toḌ
kibr  bhī  hai  shirk  ai  zāhid  muvahhid  ke  huzūr
le  ke  tesha  ḳhāksārī  kā  but-e-pindār  toḌ
āb-e-gauhar  se  badan  kī  aab  hotī  hai  ḳharāb
bojh  hai  ai  nāznīñ  ye  motiyoñ  kā  haar  toḌ
sharm  kab  tak  ai  parī  lā  haath  kar  iqrār-e-vasl
apne  dil  ko  saḳht  kar  ke  rishta-e-inkār  toḌ
sabr  kab  tak  raah  paidā  ho  ki  ai  dil  jaan  jaa.e
ek  Takkar  maar  kar  sar  phoḌ  yā  dīvār  toḌ
ai  zuleḳhā  naqd-e-jāñ  ham  deñ  lagā  tū  gañj-e-zar
qīmat-e-yūsuf  kā  ho  jaa.e  sar-e-bāzār  toḌ
chaḌh  ke  koThe  par  dikhā  de  apne  abrū  meñ  shikan
ai  parī-paikar  halāk-e-charḳh  kī  talvār  toḌ
aa.ina  hai  māne-e-nazzāra-e-husn-o-jamāl
ho  sake  to  sadd-e-askandar  ko  ai  dildār  toḌ
māne-e-mastī  ko  bad-mastī  dikhānā  chāhiye
mohtasib  kā  shīsha-e-dil  ai  bu-e-mai-ḳhvār  toḌ
husn-e-peshānī  se  qasr-e-charḳh  ko  barbād  kar
lauh-e-qur.āñ  se  tilism-e-gumbad-e-davvār  toḌ
naam  ko  ai  dil  na  rakh  asbāb-e-islāh-e-junūñ
vādī-e-vahshat  meñ  chal  kar  nashtar-e-har-ḳhār  toḌ
āñkheñ  phoḌ  us  kī  jo  dekhe  be-ijāzat  muñh  tirā
shauq  se  ai  mast  jām-e-sharbat-e-dīdār  toḌ
ishq-e-zulf-e-ambar-afshāñ  kā  na  TuuTe  silsila
paañv  kī  zanjīr  ai  dast-e-junūñ  sau  baar  toḌ
sā.il-e-bosa  haiñ  un  ko  dekh  chashm-e-qahr  se
aañkh  ke  Dheloñ  se  ai  but  ḳhātir-e-aġhyār  toḌ
husn-e-ġham  meñ  ek  muddat  se  muqayyad  hai  'munīr'
fikr-e-duniyā  kā  hisār  ai  haidar-e-karrār  toḌ