aks-e-ruḳh-e-gulgūñ  se  tamāshā  nazar  aayā
ā.īna  unhīñ  phūloñ  kā  duunā  nazar  aayā
ḳhūbī  meñ  do-bālā  vo  sarāpā  nazar  aayā
pur-nūr  badan  paikar-e-jauzā  nazar  aayā
dil  ḳhush  guhroñ  kā  hameñ  sahrā  nazar  aayā
kyā  gard-e-yatīmī  kā  bagūlā  nazar  aayā
nairañgī-e-hairat  se  ravāñ  rahte  haiñ  aañsū
tasvīr  kā  dariyā  hameñ  bahtā  nazar  aayā
niklā  jo  havā-vār  meñ  vo  rashk-e-sulaimāñ
uḌtā  sū-e-aflāk  farishta  nazar  aayā
bālīda  hai  har  shīsha-e-mai  ab  kī  yahāñ  tak
ek  ek  falak  pamba-e-mīnā  nazar  aayā
ḳhil.at  mujhe  vahshat  ne  diyā  vus.at-e-dil  kā
jaame  meñ  mire  dāman-e-sahrā  nazar  aayā
nazroñ  meñ  ye  chhāyā  hai  ġhubār-e-dil-e-vahshī
har  aañkh  meñ  aañsū  mujhe  Dhelā  nazar  aayā
vo  ā.ina-sīmā  hai  dil-e-saḳht-adū  meñ
botal  meñ  utarte  hue  shīsha  nazar  aayā
āshiq  tire  palkoñ  kā  huā  zinda-e-jāved
suulī  kā  ḳharīdār  masīhā  nazar  aayā
zāhid  ne  bhī  aqd  aaj  kiyā  bint-e-inab  se
juft-e-bat-e-mai  murġh-e-musallā  nazar  aayā
bargashta-nasībī-e-sadaf-e-dil  kī  kahūñ  kyā
motī  ke  evaz  is  meñ  phaphūlā  nazar  aayā
ā.īna-e-getī  meñ  vahī  aks  hai  har  sū
ham  ne  jidhar  us  shoḳh  ko  dekhā  nazar  aayā
karte  ho  mire  paikar-e-vahmī  ko  nishāna
nāvak  meñ  tumhāre  par-e-anqā  nazar  aayā
us  but  ke  nahāne  se  huā  saaf  ye  paanī
motī  bhī  sadaf  meñ  tah-e-dariyā  nazar  aayā
us  huur  kī  rañgat  uḌī  rone  se  hamāre
rañg-e-gul-e-firdaus  bhī  kachchā  nazar  aayā
shīsha  mai-e-gulgūñ  kā  unheñ  madd-e-nazar  hai
teġh-e-nigah-e-mast  meñ  chhālā  nazar  aayā
ho  jā.eñge  sab  koh-e-jahāñ  sañg-e-falāḳhan
vahshat  meñ  jo  aalam  tah-o-bālā  nazar  aayā
sham.eñ  jo  bujhīñ  bazm-e-tilismāt  ko  dekhā
āñkheñ  jo  huiiñ  band  to  kyā  kyā  nazar  aayā
kyuuñ  ḳhush  na  ho  til  baiTh  ke  mīzān-e-falak  meñ
mauzūn-e-qad-e-yār  kā  pallā  nazar  aayā
mil  mil  ga.e  haiñ  ḳhaak  meñ  lākhoñ  dil-e-raushan
har  zarra  mujhe  arsh  kā  taarā  nazar  aayā
āñkhoñ  meñ  khaTaktī  hai  yahī  daulat-e-duniyā
har  sikke  kī  machhlī  meñ  bhī  kāñTā  nazar  aayā
hai  būd-e-jahāñ  naqsh  sar-e-āb  nazar  meñ
ye  khel  hameñ  ban  ke  bigaḌtā  nazar  aayā
hairat-kada-e-dahr  huā  mujh  se  mukaddar
ā.īna-e-ījād  meñ  dhabbā  nazar  aayā
ḳhush  aate  nahīñ  daañt  kisī  huur  ke  mujh  ko
chāk-e-gul-e-firdaus  meñ  baḳhiya  nazar  aayā
muddat  se  nazar-doḳhta  rahte  haiñ  giraftār
gesū  kī  bhī  zanjīr  meñ  Tāñkā  nazar  aayā
champā-kalī  us  mast-e-mai-e-husn  kī  dekhī
gardan  kī  surāhī  kā  ye  miinā  nazar  aayā
madfūn  huā  zer-e-zamīñ  aap  kā  lāġhar
chashm-e-lahad-e-tañg  meñ  jaalā  nazar  aayā
kalkatta  meñ  har  dam  hai  'munīr'  aap  ko  vahshat
har  koThī  meñ  har  bañgle  meñ  jañglā  nazar  aayā