ka.abe  se  mujh  ko  laa.e  savād-e-kunisht  meñ
islāh  dī  butoñ  ne  ḳhat-e-sar-navisht  meñ
phirte  haiñ  kūcha-e-but-e-qudsī-sarisht  meñ
dīvāne  lāteñ  maar  rahe  bahisht  meñ
kaffāra-e-sharāb  maiñ  detā  huuñ  naqd-e-hosh
sargarm  huuñ  talāfī-e-a.amāl-e-zisht  meñ
aksar  jazā-e-sajda  meñ  khānī  haiñ  Thokareñ
likkhā  hai  kyā  ḳhat-e-kaf-e-pā  sarnavisht  meñ
hūroñ  se  garmiyāñ  jo  kahūñ  us  sharīr  kī
lag  jaa.e  aag  ātish-e-gul  se  bahisht  meñ
suntī  hai  roz  naġhma-e-zanjīr-e-āshiqāñ
vo  zulf  bhī  hai  silsila-e-ahl-e-chisht  meñ
zindāñ  se  āñkheñ  señkne  us  gul  ke  ghar  ga.e
dozaḳh  se  aag  lene  chale  ham  bahisht  meñ
begāne  ik  hamīñ  nazar  aa.e  pas-e-fanā
bedardoñ  kā  hujūm  hai  bāġh-e-bahisht  meñ
but-ḳhāne  meñ  safedī-e-husn-e-farañg  hai
girje  kī  raushnī  hai  savād-e-kunisht  meñ
jal  jal  ke  ḳhaak  hote  haiñ  be-ashk-o-āh  ham
āb-o-havā  nahīñ  hai  hamārī  sarisht  meñ
garmī  meñ  tere  kūcha-nashīnoñ  ke  vāste
pañkhe  haiñ  qudsiyoñ  ke  paroñ  ke  bahisht  meñ
sonā  kasā.ūñ  ashrafī-e-dāġh-e-sajda  kā
sañg-e-mahak  lagā.ūñ  binā-e-kunisht  meñ
bijlī  chamak  ga.ī  jo  hañsī  meñ  phaḌak  ga.e
shoḳhī  bharī  huī  hai  tumhārī  sarisht  meñ
tasvīreñ  terī  dast-e-hinā.ī  kī  le  ga.e
chhāpe  lahū  ke  ham  ne  lagā.e  bahisht  meñ
kartī  haiñ  ḳhuun  charḳh  butoñ  kī  ta.alliyāñ
rañg-e-shafaq  lagātī  hai  saqf-e-kunisht  meñ
abr-e-bahār  jauhar-e-shamshīr-e-yār  the
gulhā-e-zaḳhm  khil  ga.e  urdī-bahisht  meñ
taqdīr  meñ  hai  terī  dahān-o-kamar  kā  ishq
sirr-e-nihāñ  likhā  hai  mirī  sarnavisht  meñ
dī  jaan  ek  huur  ke  bose  kī  chaaT  par
qismat  ne  mujh  ko  zahr  diyā  hai  bahisht  meñ
choroñ  se  guftugū-e-ḳhat-e-sabz-e-yār  hai
tuutī  kisī  kā  bol  rahā  hai  bahisht  meñ
adnā  ġhulām-e-shāh-e-vilāyat  hue  'munīr'
dasht-e-najaf  kī  ḳhaak  hai  merī  sarisht  meñ