shab  ke  haiñ  maah  mehr  haiñ  din  ke
ruup  dekhe  butān-e-kamsin  ke
bose  haiñ  be-hisāb  har  din  ke
va.ade  kyuuñ  Tālte  ho  gin  gin  ke
haiñ  vo  dīvāne  jazb-e-bātin  ke
utrī  hai  shīshe  meñ  parī  jin  ke
ahl-e-dil  dekhte  haiñ  aap  kā  muñh
aa.ine  meñ  safā.ī  bātin  ke
dil  ravāñ  ho  ḳhayāl-e-yār  ke  saath
jaa.e  maskan  bhī  saath  sākin  ke
lāġharoñ  par  hai  zulm-e-jāñ-shiknī
ai  ajal  toḌtī  hai  kyuuñ  tinke
rahe  kalkatta  meñ  muḳhīr  'munīr'
sadqe  apne  imām-e-zāmin  ke