kartā  hai  bāġh-e-dahr  meñ  nairañgiyāñ  basant
aayā  hai  laakh  rañg  se  ai  bāġhbāñ  basant
ham-rañg  kī  hai  duun  nikal  ashrafī  ke  saath
paatā  hai  aa  ke  rañg-e-talā.ī  yahāñ  basant
joban  par  in  dinoñ  hai  bahār-e-nashāt-e-bāġh
letā  hai  phuul  bhar  ke  yahāñ  jholiyāñ  basant
mūbāf  zard  rañg  hai  sumbul  kī  choT  meñ
khotā  hai  bū-e-gul  kī  pareshāniyāñ  basant
navvāb-e-nām-dār  'zafar-jañg'  ke  huzūr
gaatī  hai  aa  ke  zohra-e-gardūñ-makāñ  basant
jām-e-aqīq  zard  hai  nargis  ke  haath  meñ
taqsīm  kar  rahā  hai  mai-e-arġhavāñ  basant
hote  haiñ  tā.irān-e-chaman  nargisī  kabāb
kah  do  ki  is  qadar  na  kare  garmiyāñ  basant
chehre  tamām  zard  haiñ  daulat  ke  rañg  se
koThī  meñ  ho  gayā  hai  sarāpā  ayaañ  basant
niilā  huā  hai  muñh  gul-e-sausan  kā  baaġh  meñ
letā  hai  iḳhtilāt  meñ  kyā  chuTkiyāñ  basant
kaḌve  dhare  hue  haiñ  jo  navvāb  ke  huzūr
bāhar  hai  apne  jaame  se  ai  bāġhbāñ  basant
pukhrāj  ke  gilāsoñ  meñ  hai  lāla-gūñ  sharāb
sone  kā  paanī  pī  ke  hai  ratab-ul-lisāñ  basant
sarsoñ  jo  phūlī  dīda-e-jām-e-sharāb  meñ
bint-ul-anab  se  karne  lagā  shoḳhiyāñ  basant
zer-e-qadam  hai  farsh-e-basantī  huzūr  ke
masrūf  pā-e-boss  meñ  hai  har  zamāñ  basant
maiñ  gard-posh  ho  ke  banā  shāḳh-e-za.afarāñ
lipTā  huā  hai  mere  badan  se  yahāñ  basant
kartā  huuñ  ab  tamām  duā  par  ye  chand  sher
aayā  pasand  majma.a-e-ahl-e-zamāñ  basant
jab  tak  ki  mahv-e-qahqaha  huuñ  gul  hazār  meñ
rañgīn  taar  hai  sifat-e-za.afarāñ  basant
yārab  hazār  saal  salāmat  raheñ  huzūr
ho  roz  jashn-e-īd  yahāñ  jāvedāñ  basant
ahbāb  surḳh-rū  raheñ  dushman  hoñ  zard-rū
jab  tak  manā.eñ  mardum-e-hindostāñ  basant
zardī  kī  tarah  baiza-e-bulbul  meñ  chhup  rahe
is  baaġh  se  na  jaa.e  miyān-e-ḳhizāñ  basant
taqdīr  meñ  thī  furqat-e-yārān-e-lucknow
is  shahr  meñ  'munīr'  kahāñ  thā  kahāñ  basant