Muneer Shikohabadi

buton ke ghar ki taraf kabe ke safar se phire

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
butoñ ke ghar kī taraf ka.abe ke safar se phire
hazār shukr ki jiite ḳhudā ke ghar se phire
marīz-e-hijr kā koī ilaaj kar dekhe
asar davā se davā hukm-e-chāra-gar se phire
mahīne bhar kā to rasta hai par duā ye hai
ki peshtar vo qamar daura-e-qamar se phire
nigāh-e-lutf se dekho shabāb aa jaa.e
shab-e-guzishta abhī gardish-e-nazar se phire
vo rashk-e-mahr jo saaqī ho umr baaqī ho
ziyāda sāġhar-e-mai charḳh-e-fitna-gar se phire
nigāh pherne meñ lutf kyā hai rahne do
ye tiir kis liye ulTā mire jigar se phire
kaheñge ba.ad-e-fanā ham se dostān-e-adam
bhare-pure ki tahī-dast is safar se phire
na māñgeñ bosa-e-ruḳhsār chhātiyāñ na chhueñ
tabī.at apnī jo ai but gul-o-samar se phire
falak ne kūcha-e-maqsad kī band kī rāheñ
bhalā batāo ki qismat mirī kidhar se phire
dikhā.e mauj-zanī bahr-e-ashk agar apnā
har āsiyā-e-falak-āb chashm-e-tar se phire
'munīr' ko hai vo daurān-e-sar ma.āz-allāh
ki sunñe vāloñ kā sar zikr-e-dard-e-sar se phire
Top Urdushayar.com