butoñ  ke  ghar  kī  taraf  ka.abe  ke  safar  se  phire
hazār  shukr  ki  jiite  ḳhudā  ke  ghar  se  phire
marīz-e-hijr  kā  koī  ilaaj  kar  dekhe
asar  davā  se  davā  hukm-e-chāra-gar  se  phire
mahīne  bhar  kā  to  rasta  hai  par  duā  ye  hai
ki  peshtar  vo  qamar  daura-e-qamar  se  phire
nigāh-e-lutf  se  dekho  shabāb  aa  jaa.e
shab-e-guzishta  abhī  gardish-e-nazar  se  phire
vo  rashk-e-mahr  jo  saaqī  ho  umr  baaqī  ho
ziyāda  sāġhar-e-mai  charḳh-e-fitna-gar  se  phire
nigāh  pherne  meñ  lutf  kyā  hai  rahne  do
ye  tiir  kis  liye  ulTā  mire  jigar  se  phire
kaheñge  ba.ad-e-fanā  ham  se  dostān-e-adam
bhare-pure  ki  tahī-dast  is  safar  se  phire
na  māñgeñ  bosa-e-ruḳhsār  chhātiyāñ  na  chhueñ
tabī.at  apnī  jo  ai  but  gul-o-samar  se  phire
falak  ne  kūcha-e-maqsad  kī  band  kī  rāheñ
bhalā  batāo  ki  qismat  mirī  kidhar  se  phire
dikhā.e  mauj-zanī  bahr-e-ashk  agar  apnā
har  āsiyā-e-falak-āb  chashm-e-tar  se  phire
'munīr'  ko  hai  vo  daurān-e-sar  ma.āz-allāh
ki  sunñe  vāloñ  kā  sar  zikr-e-dard-e-sar  se  phire