Muneer Shikohabadi

tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
tirchhī nazar se dekhiye talvār chal ga.ī
zaḳhm-e-jigar kī raah se hasrat nikal ga.ī
mal-dal se vasl meñ tirī mahram nikal ga.ī
chuTkī se ai parī bunat añgiyā kī mal ga.ī
bulbul ko mast kartī hai ḳhushbū libās kī
shāyad nasīm itr-e-bahār aaj mal ga.ī
kañghī se itnī der meñ suljhā.ī ek zulf
ai jaan aadhī raat bakheḌe meñ Dhal ga.ī
mazmūn terī zard hinā kā na bañdh sakā
manhad kī machhlī haath meñ aa kar nikal ga.ī
itnā na kījiye gul-e-ruḳhsār par ġhurūr
do din kī ye bahār hai aaj aa.ī kal ga.ī
andāz tere haal kī sīkhī jo raat ko
teġh-e-hilāl kabk par ai maah chal ga.ī
sar se hamāre phir ga.ī shamshīr-e-barq-dam
ai jaan girte girte ye bijlī sambhal ga.ī
kyā saaf gaal haiñ ki na Thahre nazar kahīñ
be-sāḳhta nigāh hamārī phisal ga.ī
rañg-e-vafā uḌā dil-e-saḳht-e-raqīb se
botal meñ ye sharāb na Thahrī ubal ga.ī
kyuuñ chashm-e-mast ho ga.e jām-e-sharāb aaj
kyā ho gayā jo aañkh tumhārī badal ga.ī
mazmūn-e-garm par mere ta.ana na kar sake
añgusht-e-e'tirāz harīfoñ kī chal ga.ī
miTTī mirī ḳharāb huī rāh-e-ishq meñ
barbād kar ke un kī savārī nikal ga.ī
mujh se hī pūchhtā hai mirā nāma-bar patā
aisī firāq-e-yār meñ sūrat badal ga.ī
ai shoḳh terī dast-darāzī se nashshe meñ
gardūñ tak āftāb kī pagḌī uchhal ga.ī
de kar mai-e-do-ātisha us se lipaT gayā
do āñchoñ meñ raqīb kī kyā daal gal ga.ī
jannat se bahra-var hoñ zafar-gañj ai 'munīr'
jo jo thī aarzū mire dil meñ nikal ga.ī
Top Urdushayar.com