fasl-e-bahār  aa.ī  hai  paimāna  chāhiye
bulbul  ke  saath  nāra-e-mastāna  chāhiye
ushshāq-e-sham.a-e-husn  ko  kyā  kyā  na  chāhiye
parvāz-e-rañg  ko  par-e-parvāna  chāhiye
piirī  meñ  raat  din  hameñ  paimāna  chāhiye
rāsha  ke  badle  laġhzish-e-mastāna  chāhiye
vahshat  meñ  baat  aql  kī  sunñā  na  chāhiye
kānoñ  meñ  pamba-e-kaf-e-dīvāna  chāhiye
kañghī  banā.ūñ  chob-e-asā-e-kalīm  kī
tasḳhīr  mār-e-gesū-e-jānāna  chāhiye
dariyā-e-vahdat-o-chaman-e-dahr  se  hameñ
durr-e-yagāna  sabza-e-begāna  chāhiye
āb-o-ġhizā-e-āshiq-e-dandāñ  muhāl  hai
roz  āb-o-dāna-e-dur-e-yakdāna  chāhiye
maiñ  sā.il-e-kamāl-e-junūñ  huuñ  mire  liye
kajkol  kāsa-e-sar-e-dīvāna  chāhiye
asrār-e-haq  haiñ  dil  meñ  magar  dil  hai  be-ḳhabar
is  ganj  ke  liye  yahī  vīrāna  chāhiye
sair-e-bahisht  chāhte  haiñ  nashshe  meñ  mudām
mastoñ  ko  chashm-e-hūr  kā  paimāna  chāhiye
go  be-naqāb  rahte  ho  parde  meñ  hai  hijāb
dar-parda  ham  se  aap  ko  chhupnā  na  chāhiye
āshiq  banā  ke  ham  ko  jalāte  haiñ  sham.a-rū
parvāna  chāhiye  unheñ  parvāna  chāhiye
ai  pīr-e-mai-farosh  dar-e-tauba  kī  tarah
vā  roz-e-hashr  tak  dar-e-mai-ḳhāna  chāhiye
tā-marg  āshnā  na  huā  ek  sabza  rañg
turbat  par  apnī  sabza-e-begāna  chāhiye
dushman  hai  vo  to  tum  bhī  na  ho  dost  ai  'munīr'
apnā  burā  na  chāhiye  achchhā  na  chāhiye