Muneer Shikohabadi

nazuk aisa nahin kisi ka peT

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
nāzuk aisā nahīñ kisī kā peT
maḳhmal-e-rañg-e-gul hai goyā peT
nazar aatā hai aks kurtī kā
aa.ine se bhī hai musaffā peT
dard-e-sar kho diyā sabīhoñ kā
sandal-e-sub.h kā hai taḳhta peT
ye sabāhat ye husn ye jalva
varaq-e-sīm-mah hai saarā peT
naaf hai sāġhar-e-murād ai gul
bāda-e-husn kā hai miinā peT
Dar yahī hai na chhalke sāġhar-e-umr
hai mai-e-nāb kā qarābā peT
jaam ḳhālī nahīñ hai chehre se kam
aaj saaqī ne muft kaaTā peT
tum ne dam de ke jab milāyā phuul
ḳhuub misl-e-habāb phūlā peT
saikḌoñ nigle aadmī us ne
na bharā azhdar-e-zamīñ kā peT
surḳh kurtī se ho gayā ma.alūm
āftāb-e-sahar hai un kā peT
dam nahīñ siine meñ samātā hai
yaad aatā hai un kā gorā peT
dekhne vaale kyuuñ na hoñ majnūñ
rañg meñ hai ezār-e-lailā peT
chhātiyāñ haiñ turanj-e-zar goyā
lauh-e-sīmīñ hai us parī kā peT
laal niifā dikhā ke gardūñ ko
hāla-e-mah kā rañg laayā peT
shaad hote haiñ dekh kar āshiq
sahar-e-īd kā hai naqsha peT
mū-e-mizhgāñ haiñ baal sailī ke
ā.ankhoñ ke sāmne hai terā peT
baat mastī kī hazm ho na sakī
shīsha-e-bāda kā hai halkā peT
jān-o-dil se 'munīr' sadqa hai
nahīñ dekhā hai ab tak aisā peT
Top Urdushayar.com