hamārī  ruuh  jo  terī  galī  meñ  aa.ī  hai
ajal  ke  sadqe  meñ  ye  raah  dekh  paa.ī  hai
vahāñ  pahuñch  nahīñ  saktīñ  tumhārī  zulfeñ  bhī
hamāre  dast-e-talab  kī  jahāñ  rasā.ī  hai
lahū  mirā  tirī  talvār  se  milā  aisā
ki  nāgavār  pas-e-zabah  bhī  judā.ī  hai
na  pūchhiye  ki  tū  jaltā  hai  kyuuñ  raqīboñ  se
vahī  ye  aag  hai  jo  aap  ne  lagā.ī  hai
nisār-e-hazrat-e-āġhā-alī-'hasan'-ḳhāñ  huuñ
ziyāda  had  se  mirī  aabrū  baḌhā.ī  hai