ġham  sahte  haiñ  par  ġhamza-e-bejā  nahīñ  uThtā
marte  haiñ  magar  nāz-e-masīhā  nahīñ  uThtā
kab  paan  raqīboñ  ko  ināyat  nahīñ  hote
kis  roz  mire  qatl  kā  beḌā  nahīñ  uThtā
bal  paḌte  haiñ  pahoñche  meñ  lachaktī  hai  kalā.ī
nāzuk  haiñ  bahut  phūloñ  kā  gajrā  nahīñ  uThtā
farmā.iye  irshād  pahāḌoñ  ko  uThā  luuñ
par  rashk  kā  sadma  nahīñ  uThtā  nahīñ  uThtā
kūche  meñ  'munīr'  un  ke  maiñ  baiThā  to  vo  bole
hai  hai  mire  darvāze  se  pahrā  nahīñ  uThtā