Muneer Shikohabadi

wo zulf hawa se mujhe barham nazar aai

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
vo zulf havā se mujhe barham nazar aa.ī
uḌtī huī nāgan qadd-e-āmdam nazar aa.ī
hai panja-e-rañgīñ meñ hamārā dil-e-betāb
ye aag to sīmāb se bāham nazar aa.ī
āġhāz meñ hastī kī ajal aa ga.ī ai dil
jo chiiz muaḳhḳhar thī muqaddam nazar aa.ī
shabnam kī hai añgiyā tale añgiyā ke pasīne
kyā lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aa.ī
majrūh kiyā ulfat-e-abrū ne dam-e-haj
mehrāb-e-haram nāḳhun-e-zaiġham nazar aa.ī
adnā hai ye ai jaan sarāpe kī latāfat
parchhā.īñ tirī hūr-e-mujassam nazar aa.ī
zanjīr pahanñe se huā qaidiyoñ kā naam
har ek kaḌī halqa-e-ḳhātam nazar aa.ī
tauba kī magar nashshe se us hūr-shiyam ne
kyuuñ ātish-e-mai nār-e-jahannam nazar aa.ī
tum bāloñ ko khole hue gulshan meñ jo aa.e
har shāḳh-e-shajar zulf-e-namat-ḳham nazar aa.ī
bad-zan na ho kis tarah 'munīr' aaj ḳhudārā
maskī huī ai but tirī mahram nazar aa.ī
Top Urdushayar.com