vo  zulf  havā  se  mujhe  barham  nazar  aa.ī
uḌtī  huī  nāgan  qadd-e-āmdam  nazar  aa.ī
hai  panja-e-rañgīñ  meñ  hamārā  dil-e-betāb
ye  aag  to  sīmāb  se  bāham  nazar  aa.ī
āġhāz  meñ  hastī  kī  ajal  aa  ga.ī  ai  dil
jo  chiiz  muaḳhḳhar  thī  muqaddam  nazar  aa.ī
shabnam  kī  hai  añgiyā  tale  añgiyā  ke  pasīne
kyā  lutf  hai  shabnam  tah-e-shabnam  nazar  aa.ī
majrūh  kiyā  ulfat-e-abrū  ne  dam-e-haj
mehrāb-e-haram  nāḳhun-e-zaiġham  nazar  aa.ī
adnā  hai  ye  ai  jaan  sarāpe  kī  latāfat
parchhā.īñ  tirī  hūr-e-mujassam  nazar  aa.ī
zanjīr  pahanñe  se  huā  qaidiyoñ  kā  naam
har  ek  kaḌī  halqa-e-ḳhātam  nazar  aa.ī
tauba  kī  magar  nashshe  se  us  hūr-shiyam  ne
kyuuñ  ātish-e-mai  nār-e-jahannam  nazar  aa.ī
tum  bāloñ  ko  khole  hue  gulshan  meñ  jo  aa.e
har  shāḳh-e-shajar  zulf-e-namat-ḳham  nazar  aa.ī
bad-zan  na  ho  kis  tarah  'munīr'  aaj  ḳhudārā
maskī  huī  ai  but  tirī  mahram  nazar  aa.ī