ilm-o-hunar  se  qaum  ko  raġhbat  nahīñ  rahī
is  par  shikāyateñ  ki  fazīlat  nahīñ  rahī
badlegā  kyā  nizām  kab  aa.egā  inqilāb
jab  naujavāñ  lahū  meñ  harārat  nahīñ  rahī
mazlūm  ko  dilā.e  jo  har  zulm  se  najāt
aisī  jahāñ  meñ  koī  adālat  nahīñ  rahī
sajde  meñ  jā  ke  māñgnā  be-kār  ne.amateñ
kuchh  bhī  kaho  use  ye  ibādat  nahīñ  rahī
fatve  liye  haiñ  shaiḳh  se  pīr-e-muġhāñ  ne  ḳhaas
piine  meñ  ab  zarā  bhī  qabāhat  nahīñ  rahī
masjid  kā  ruḳh  kiyā  hai  janāb-e-'faroġh'  ne
lagtā  hai  ab  gunāh  meñ  lazzat  nahīñ  rahī