aisī  huī  sarsabz-shikāyat  kī  kaḌī  baat
sabze  kī  tarah  kaan  meñ  us  gul  kī  paḌī  baat
kyūñkar  dahan-e-tañg  se  zāhir  ho  kaḌī  baat
muñh  aap  kā  chhoTā  hai  na  niklegī  baḌī  baat
gul-rañg  tire  hoñTh  hue  bār-e-suḳhan  se
ai  jaan  uḌā  le  ga.ī  missī  kī  dhaḌī  baat
tere  suḳhan-e-saḳht  meñ  hai  husn-e-nazākat
kānoñ  ko  huī  pamba-e-mahtāb  kaḌī  baat
is  pech  se  tum  mujh  ko  uḌāte  ho  dam-e-nutq
zanjīr-e-ram-e-hosh  kī  bantī  hai  kaḌī  baat
taqrīr  tirī  shāḳh-e-gul-e-tāza  hai  ai  mast
detī  hai  kaf-e-bāda  meñ  phūloñ  kī  chhaḌī  baat
vasf-e-dur-e-dandāñ  se  ye  baḌh  jaate  haiñ  rutbe
rag  rag  ko  banā  detī  hai  motī  kī  laḌī  baat
har  kaan  huā  hai  sabad-e-gul  se  ziyāda
kyā  phuul  ke  mānind  tire  muñh  se  jhaḌī  baat
dhotā  hai  suḳhan  dil  se  ġhubār-e-ġham-e-duniyā
hai  gard-e-alam  ke  liye  sāvan  kī  jhaḌī  baat
kyā  mohr  banā.ī  tire  yāqūt-e-suḳhan  kī
mānind-e-nagīñ  ham  ne  añgūThī  meñ  jaḌī  baat
naqd-e-suḳhan-e-pāk  diyā  gard-e-qalaq  meñ
ganjīne  ke  mānind  tah-e-ḳhāk  gaḌī  baat
jis  roz  maiñ  gintā  huuñ  tire  aane  kī  ghaḌiyāñ
sūraj  ko  banā  detī  hai  sone  kī  ghaḌī  baat
ustād  ke  ehsān  kā  kar  shukr  'munīr'  aaj
kī  ahl-e-suḳhan  ne  tirī  tārīf  baḌī  baat