tere  hāthoñ  se  miTegā  naqsh-e-hastī  ek  din
baaḌh  rakh  degī  chhurī  par  tez-dastī  ek  din
terī  āñkhoñ  se  dil-e-nāzuk  giregā  nashshe  meñ
taaq  se  shīsha  girā  degī  ye  mastī  ek  din
zāhido  puujā  tumhārī  ḳhuub  hogī  hashr  meñ
but  banā  degī  tumheñ  ye  haq-parastī  ek  din
āñkheñ  dozaḳh  meñ  bhī  señkegā  tirā  dil-soḳhta
aag  ban  jā.egī  ye  ātish-prastī  ek  din
ḳhūbī-e-shamshīr-e-abrū  kā  tamāshā  dekhte
donoñ  bāgoñ  aap  kī  talvār  kastī  ek  din
ḳhuun  merā  rā.egāñ  nāhaq  bahāte  haiñ  huzūr
karnī  hai  rañg-e-hinā  kī  pesh-dastī  ek  din
jild-e-pistāñ  tak  mirā  kab  tak  na  hogā  dastaras
in  turanjoñ  kī  bhī  qīmat  hogī  sastī  ek  din
zulf-e-kāfir-kesh  lipTegī  qadam  se  ai  sanam
hindu-e-shab  bhī  karegā  but-parastī  ek  din
jaan  baḳhsho  sar  mire  lāshe  kā  Thukrāo  kabhī
sāġhar-e-ḳhālī  meñ  bhar  do  shahd-e-hastī  ek  din
nīlgūñ  kar  deñge  mal  kar  chhātiyāñ  ai  rashk-e-mehr
terī  añgiyā  kī  kaTorī  hogī  jastī  ek  din
ḳhuub  kar  tārīf-e-navvāb-e-zafar-jañg  ai  'munīr'
kaam  aa  jā.egī  ye  āqā-parastī  ek  din