Muneer Shikohabadi

haal-e-poshida khula saman-e-ibrat dekh kar

Muneer Shikohabadi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1813-1880
hāl-e-poshīda khulā sāmān-e-ibrat dekh kar
paḌh liyā qismat kā likkhā lauh-e-turbat dekh kar
is qadar be-ḳhud huā āsār-e-vahshat dekh kar
ā.īna se naam pūchhā apnī sūrat dekh kar
dekhiye mahshar meñ bhī sūrat dikhā.e yā nahīñ
subah bhāgī hai shab-e-hijrāñ kī zulmat dekh kar
jām-e-kausar dast-e-sāqī meñ nazar aayā mujhe
uTh gayā āñkhoñ kā parda abr-e-rahmat dekh kar
raat din ke maḳhmase se ai junūñ paa.ī najāt
ablaq-e-ayyām bhāgā merī vahshat dekh kar
tere kūche meñ tirā jalva nazar aayā mujhe
sāne-e-jannat ko dekhā bāġh-e-jannat dekh kar
muñh hamārā jalva-e-dīdār ke laa.eq kahāñ
apnī sūrat dekhte haiñ terī sūrat dekh kar
chaar dīvār-e-anāsir par safedī phir ga.ī
āñkheñ raushan ho ga.iiñ terī sabāhat dekh kar
vahshat-e-dil hashr ke din bhī rahe kā.vus talab
kāñTe DhūñDhe ham ne sahrā-e-qayāmat dekh kar
chahchahe bulbul ke āvāz-e-kaf-e-afsos hoñ
rañg-e-gul uḌ jaa.e merā dāġh-e-hasrat dekh kar
abr udhar aayā idhar mai-ḳhvāroñ kā beḌā hai paar
kashtī-e-mai mol ke dariyā-e-rahmat dekh kar
aañsū poñchhe yaad aayā jab javānī kā mazā
āñkheñ malte rah ga.e ham ḳhvāb-e-rāhat dekh kar
barahman ka.aba meñ aayā shaiḳh pahūñchā dair meñ
log be-vahdat ho.e haiñ terī kasrat dekh kar
har ghaḌī aatī hai kānoñ meñ ye āvāz-e-jaras
kaun duniyā se safar kartā hai saa.at dekh kar
nashsha ke asbāb-e-taz.īñ meñ bhī nashsha hai zarūr
merī āñkheñ chaḌh ga.iiñ mai-ḳhāne kī chhat dekh kar
ab nahīñ nāzuk-mizājī se tavajjoh kā dimāġh
ai ajal aanā kabhī hañgām-e-fursat dekh kar
vo muvahhid huuñ na rakkhā dūsre se ittihād
ruuh ne chhoḌā badan ko zidd-e-vahdat dekh kar
ḳhūn-e-bulbul se magar sīñchā hai bāġh-e-dahr ko
ham lahū barsāte haiñ phūloñ kī rañgat dekh kar
tere bande sar jhukāte haiñ butoñ ke sāmne
sajde kartā huuñ ilāhī terī qudarat dekh kar
zaḳhmī-e-teġh-e-taġhāful par nazar jamtī nahīñ
chashm-e-sozan band hotī hai jarāhat dekh kar
jī lagā kar ye ġhazal kis tarah kahiye ai 'munīr'
bujh gayā dil kūch-e-manzil kī azīmat dekh kar
Top Urdushayar.com