hāl-e-poshīda  khulā  sāmān-e-ibrat  dekh  kar
paḌh  liyā  qismat  kā  likkhā  lauh-e-turbat  dekh  kar
is  qadar  be-ḳhud  huā  āsār-e-vahshat  dekh  kar
ā.īna  se  naam  pūchhā  apnī  sūrat  dekh  kar
dekhiye  mahshar  meñ  bhī  sūrat  dikhā.e  yā  nahīñ
subah  bhāgī  hai  shab-e-hijrāñ  kī  zulmat  dekh  kar
jām-e-kausar  dast-e-sāqī  meñ  nazar  aayā  mujhe
uTh  gayā  āñkhoñ  kā  parda  abr-e-rahmat  dekh  kar
raat  din  ke  maḳhmase  se  ai  junūñ  paa.ī  najāt
ablaq-e-ayyām  bhāgā  merī  vahshat  dekh  kar
tere  kūche  meñ  tirā  jalva  nazar  aayā  mujhe
sāne-e-jannat  ko  dekhā  bāġh-e-jannat  dekh  kar
muñh  hamārā  jalva-e-dīdār  ke  laa.eq  kahāñ
apnī  sūrat  dekhte  haiñ  terī  sūrat  dekh  kar
chaar  dīvār-e-anāsir  par  safedī  phir  ga.ī
āñkheñ  raushan  ho  ga.iiñ  terī  sabāhat  dekh  kar
vahshat-e-dil  hashr  ke  din  bhī  rahe  kā.vus  talab
kāñTe  DhūñDhe  ham  ne  sahrā-e-qayāmat  dekh  kar
chahchahe  bulbul  ke  āvāz-e-kaf-e-afsos  hoñ
rañg-e-gul  uḌ  jaa.e  merā  dāġh-e-hasrat  dekh  kar
abr  udhar  aayā  idhar  mai-ḳhvāroñ  kā  beḌā  hai  paar
kashtī-e-mai  mol  ke  dariyā-e-rahmat  dekh  kar
aañsū  poñchhe  yaad  aayā  jab  javānī  kā  mazā
āñkheñ  malte  rah  ga.e  ham  ḳhvāb-e-rāhat  dekh  kar
barahman  ka.aba  meñ  aayā  shaiḳh  pahūñchā  dair  meñ
log  be-vahdat  ho.e  haiñ  terī  kasrat  dekh  kar
har  ghaḌī  aatī  hai  kānoñ  meñ  ye  āvāz-e-jaras
kaun  duniyā  se  safar  kartā  hai  saa.at  dekh  kar
nashsha  ke  asbāb-e-taz.īñ  meñ  bhī  nashsha  hai  zarūr
merī  āñkheñ  chaḌh  ga.iiñ  mai-ḳhāne  kī  chhat  dekh  kar
ab  nahīñ  nāzuk-mizājī  se  tavajjoh  kā  dimāġh
ai  ajal  aanā  kabhī  hañgām-e-fursat  dekh  kar
vo  muvahhid  huuñ  na  rakkhā  dūsre  se  ittihād
ruuh  ne  chhoḌā  badan  ko  zidd-e-vahdat  dekh  kar
ḳhūn-e-bulbul  se  magar  sīñchā  hai  bāġh-e-dahr  ko
ham  lahū  barsāte  haiñ  phūloñ  kī  rañgat  dekh  kar
tere  bande  sar  jhukāte  haiñ  butoñ  ke  sāmne
sajde  kartā  huuñ  ilāhī  terī  qudarat  dekh  kar
zaḳhmī-e-teġh-e-taġhāful  par  nazar  jamtī  nahīñ
chashm-e-sozan  band  hotī  hai  jarāhat  dekh  kar
jī  lagā  kar  ye  ġhazal  kis  tarah  kahiye  ai  'munīr'
bujh  gayā  dil  kūch-e-manzil  kī  azīmat  dekh  kar