kyūñkar  shikār-e-husn  na  kheleñ  yahāñ  ke  log
pariyoñ  ko  phāñs  lete  haiñ  hindostāñ  ke  log
aapas  meñ  ek  dūsre  se  āshnā  nahīñ
zer-e-zamīñ  bhare  haiñ  ilāhī  kahāñ  ke  log
bāġh-e-jahāñ  se  jaate  nahīñ  jānib-e-bahisht
nāhaq  tamāñche  khāte  haiñ  bād-e-ḳhizāñ  ke  log
shahr-e-vafā  kā  sajda-e-shukrāna  hai  yahī
patthar  se  sar  paTakte  haiñ  shahr-e-butāñ  ke  log
zunnār  se  hai  kam  rag-e-jāñ  jis  ke  sāmne
bande  hue  haiñ  us  but-e-nā-mehrbāñ  ke  log
apnī  ḳhabar  le  auroñ  se  kyā  kaam  ai  'munīr'
kis  kā  zamāna  kaun  sī  bastī  kahāñ  ke  log