pichhle  kisī  safar  kā  sitāra  na  DhūñD  le
phir  se  kahīñ  vo  saath  hamārā  na  DhūñD  le
jis  ko  ki  DhūñDhtī  haiñ  samundar  kī  vus.ateñ
dekho  kahīñ  vo  shaḳhs  kināra  na  DhūñD  le
manzil  hai  us  ke  naam  bas  itnā  rahe  ḳhayāl
raste  meñ  naqsh-e-pā  vo  hamārā  na  DhūñD  le
maanī  thī  ek  baar  jo  dil  ne  ḳhirad  kī  baat
vaisā  ye  e'tidāl  dobāra  na  DhūñD  le
hotā  nahīñ  kisī  se  haq  is  kā  adā  'faroġh'
kyuuñ  zindagī  ajal  kā  sahārā  na  DhūñD  le