kahtā  rahe  zamāna  gunahgār  zindagī
kuchh  log  jī  rahe  haiñ  mazedār  zindagī
kirdār  apnā  apnā  nibhāte  haiñ  sab  yahāñ
samjho  na  tum  kisī  kī  hai  be-kār  zindagī
ik  vaqfa-e-ajal  bhī  to  aatā  hai  darmiyāñ
chaltī  nahīñ  kisī  kī  lagātār  zindagī
aage  nikal  chuke  the  ham  apne  vajūd  se
phir  bhī  huī  na  kam  tirī  raftār  zindagī
raste  ka.ī  hasīn  nikalte  jahāñ  se  the
laa.ī  thī  aise  moḌ  pe  ik  baar  zindagī
hai  zindagī  se  shikva  unheñ  bhī  bahut  'faroġh'
hisse  meñ  jin  ke  i  hai  gulzār  zindagī