zinda  rahne  kā  bharam  aa  ke  kahāñ  par  TuuTā
ik  sitāra  sā  mirī  shah-rag-e-jāñ  par  TuuTā
ġhair-mumkin  hai  mirī  ḳhaak  uḌātā  koī
maiñ  ki  ḳhud  apnī  tabāhī  ke  nishāñ  par  TuuTā
sūd-dar-sūd  muravvat  mirī  kaam  aa.ī  hai
jab  maiñ  iḳhlās  kī  mīzān-e-ziyāñ  par  TuuTā
zahr  sā  phail  chukā  hai  mirī  shiryānoñ  meñ
kaun  sā  harf  mirī  nok-e-zabāñ  par  TuuTā
siskiyāñ  bhar  ke  'sharar'  kaun  vahāñ  rotā  thā
ḳhema-e-ḳhvāb  sar-e-shām  jahāñ  par  TuuTā