bahut  thā  naaz  jin  par  ham  unhīñ  rishtoñ  pe  hañste  haiñ
hamīñ  kyā  rasm-e-duniyā  hai  ki  sab  apnoñ  pe  hañste  haiñ
ham  aise  log  dīvāroñ  pe  hañsne  ke  nahīñ  qaa.il
magar  jab  jī  meñ  aatā  hai  to  darvāzoñ  pe  hañste  haiñ
divāna  kar  gayā  āḳhir  hameñ  farzāna-pan  apnā
ki  jin  logoñ  ko  ronā  thā  ham  un  logoñ  pe  hañste  haiñ
ab  is  ko  zindagī  kahiye  ki  ahd-e-be-hisī  kahiye
gharoñ  meñ  log  rote  haiñ  magar  rastoñ  pe  hañste  haiñ
yahāñ  apnā  parāyā  kuchh  nahīñ  ḳhushbū  pe  mat  jaao
galoñ  meñ  paḌne  vaale  phuul  guldastoñ  pe  hañste  haiñ
samajhne  vaale  kyā  kyā  kuchh  samajhte  haiñ  'sharar'-sāhab
rag-e-ma.anī  phaḌaktī  hai  to  ham  lafzoñ  pe  hañste  haiñ