haqīqat  hai  ise  māneñ  na  māneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
vo  jhūTī  hoñ  ki  sachchī  dāstāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
kisī  pahlū  se  koī  tiir  aa  kar  chaaT  jā.egā
hazāroñ  zāviye  haiñ  aur  kamāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
falak-gīrī  kī  ḳhvāhish  bāl-o-par  ko  raakh  kar  degī
havas-rāno  parindoñ  kī  uḌāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
shikam-serī  ne  dastar-ḳhvān  bichhvā.e  haiñ  logoñ  se
mazāq-e-zā.iqa  samho  zabāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
bulandī  aur  pastī  kā  koī  me.aar  tai  kar  lo
zamīñ  tañg  ho  rahī  hai  aur  chaTāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
maiñ  in  chāñdī  ke  bāzāroñ  pe  apne  daañt  kyā  gāḌūñ
chamaktī  phīkī  paḌtī  sab  dokāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ
'sharar'  maiñ  aisī  miTTī  par  asās-e-fan  nahīñ  rakhtā
rasānoñ  kā  bharosa  kyā  rasāneñ  ghaTtī  baḌhtī  haiñ