Kaleem Haider Sharar

aaina-dar-aina qad-awari ka karb hai

Kaleem Haider Sharar

ā.īna-dar-ā.īna qad-āvarī kā karb hai
gum-shuda dānish-varī hai ḳhud-sarī kā karb hai
merā dukh ye hai ki maiñ nā-mo'tabar lashkar meñ huuñ
sar-ba-neza maiñ nahīñ huuñ ik jarī kā karb hai
bhuuk ko nisbat nahīñ gehūñ kī paidāvār se
merā dastar-ḳhvān ḳhālī tashtarī kā karb hai
ik taraf yāroñ kī yaarī kā bharam khultā huā
ik taraf iḳhlās kī baḳhiya-garī kā karb hai
apne darvāze pe baiThā sochtā rahtā huuñ maiñ
merā ghar ajdād kī bāra-darī kā karb hai
vo zamāna hai ki ab tār-e-nafas bhī hai girāñ
ba.ad kī manzil to bas ḳhush-paikarī kā karb hai
vaqt kī mīzān par bīnā.ī ḳhandāñ hai 'sharar'
kor-bīnoñ meñ bhī ab dīda-varī kā karb hai
Top Urdushayar.com