ā.īna-dar-ā.īna  qad-āvarī  kā  karb  hai
gum-shuda  dānish-varī  hai  ḳhud-sarī  kā  karb  hai
merā  dukh  ye  hai  ki  maiñ  nā-mo'tabar  lashkar  meñ  huuñ
sar-ba-neza  maiñ  nahīñ  huuñ  ik  jarī  kā  karb  hai
bhuuk  ko  nisbat  nahīñ  gehūñ  kī  paidāvār  se
merā  dastar-ḳhvān  ḳhālī  tashtarī  kā  karb  hai
ik  taraf  yāroñ  kī  yaarī  kā  bharam  khultā  huā
ik  taraf  iḳhlās  kī  baḳhiya-garī  kā  karb  hai
apne  darvāze  pe  baiThā  sochtā  rahtā  huuñ  maiñ
merā  ghar  ajdād  kī  bāra-darī  kā  karb  hai
vo  zamāna  hai  ki  ab  tār-e-nafas  bhī  hai  girāñ
ba.ad  kī  manzil  to  bas  ḳhush-paikarī  kā  karb  hai
vaqt  kī  mīzān  par  bīnā.ī  ḳhandāñ  hai  'sharar'
kor-bīnoñ  meñ  bhī  ab  dīda-varī  kā  karb  hai