irādoñ  kī  shikastoñ  par  sanā-ḳhvānī  se  pahchānā
ḳhudāyā  maiñ  ne  tujh  ko  kitnī  āsānī  se  pahchānā
ka.ī  logoñ  ne  phalte  phūlte  peḌoñ  se  jaanā  hai
magar  maiñ  ne  tujhe  sabze  kī  uryānī  se  pahchānā
mire  sajde  isī  duniyā  meñ  mere  kaam  aa.e  haiñ
mire  qātil  ne  mujh  ko  merī  peshānī  se  pahchānā
kabhī  dekhā  ki  dil  kaise  sikuḌtā  hai  zarūrat  par
kabhī  duniyā  ko  paisoñ  kī  farāvānī  se  pahchānā
rag-o-pai  meñ  dar  aatā  hai  'sharar'  har  sher  kā  nashsha
ġhazal  ko  bārhā  tartīb-e-jismānī  se  pahchānā