anā  zada  thā  kahīñ  par  kahīñ  par  ān-zada
zamīñ  kī  zad  se  nikalne  tak  āsamān-zada
yahāñ  pe  dasht  o  samundar  kī  baat  mat  karnā
hamāre  shahr  kā  har  shaḳhs  hai  makān-zada
ḳhayāl-o-ḳhvāb  ke  mausam  badalne  vaale  haiñ
hujūm  vahm-o-tasavvur  meñ  hai  gumān-zada
to  bāl-o-par  kī  numā.ish  pe  harf  aa  jaatā
havā  kā  ruḳh  na  palaTtā  agar  uḌaan  zada
hamāre  ba.ad  hameñ  DhūñDne  ke  sab  raste
hamārī  ḳhaak  meñ  mil  jā.eñge  nishān-zada
bhañvar  se  Duub  ke  ubhrā  to  ye  khulā  mujh  par
samundarī  thiiñ  havā.eñ  maiñ  bādbān-zada
sab  apnā  harf-e-ma.ānī  banā  rahe  haiñ  'sharar'
ye  lafz  lafz  to  sadiyoñ  se  haiñ  zabān-zada