dil  ke  andar  ik  zarā  sī  be-kalī  hai  aaj  bhī
jo  mire  afkār  meñ  ras  gholtī  hai  aaj  bhī
yuuñ  to  vo  dīvār  ban  ke  aa  gayā  hai  darmiyāñ
merī  apne  aap  se  kuchh  dostī  hai  aaj  bhī
pattharoñ  par  chal  ke  sab  ne  paañv  zaḳhmī  kar  liye
jabki  us  ke  dar  kā  rasta  maḳhmalī  hai  aaj  bhī
ruḳh  havāoñ  kā  badalnā  jānte  haiñ  log  jo
bas  unhīñ  ke  har  diye  meñ  raushnī  hai  aaj  bhī
jin  savāloñ  kā  nahīñ  hotā  koī  musbat  javāb
un  savāloñ  se  ulajhtā  aadmī  hai  aaj  bhī
sīkhtā  hai  yuuñ  to  insāñ  har  tarīqe  kī  zabāñ
sab  se  āsāñ  sab  se  behtar  ḳhāmushī  hai  aaj  bhī
jis  ke  chalte  maiñ  ne  DhūñDe  the  ka.ī  raste  na.e
DhūñDhtī  mujh  ko  vahī  āvārgī  hai  aaj  bhī
kitne  Duube  kitne  ubhre  kyā  ḳhabar  un  ko  'faroġh'
bah  rahī  chup-chāp  yuuñ  hī  har  nadī  hai  aaj  bhī