koī  ka.aba  na  kalīsā  na  sanam  merā  hai
ik  na.e  ḳhvāb  kī  dhartī  pe  qadam  merā  hai
saarī  duniyā  se  hama-vaqt  juḌā  rahtā  huuñ
rābta  ḳhud  se  magar  aaj  bhī  kam  merā  hai
dil  ko  ehsās  ke  us  moḌ  pe  laa.ī  hai  hayāt
ab  na  merī  hai  ḳhushī  aur  na  ġham  merā  hai
ab  bhī  Dartā  huuñ  har  ik  baat  meñ  likhne  se  'faroġh'
tum  ye  kahte  ho  ki  āzād  qalam  merā  hai