Tariq Qamar

ek taswir jalani hai abhi

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
ek tasvīr jalānī hai abhī
haañ magar aañkh meñ paanī hai abhī
us ne jab haath milāyā to lagā
dil meñ ik phāñs purānī hai abhī
abhī baaqī hai bichhaḌnā us se
nā-mukammal ye kahānī hai abhī
ai havā aisī bhī ujlat kyā hai?
kyā kahīñ aag lagānī hai abhī
rāsta rok rahī hai ik yaad
ye bhī dīvār girānī hai abhī
ye jo patthar haiñ inheñ TūTnā hai
mere ashkoñ meñ ravānī hai abhī
vaqt ye pūchh rahā hai 'tāriq'
gard kuchh aur uḌānī hai abhī?
Top Urdushayar.com